🌸 Surah Introduction: Surah Maryam (سورة مريم) 🌸
📖 Naam: Surah Maryam (سورة مريم)
Yeh Surah Hazrat Maryam (علیہا السلام) ke naam par hai,
Jo Hazrat Isa (علیہ السلام) ki walida thi.
Qur’an mein kisi aur aurat ke naam par koi Surah nahi hai.
🔢 Surah Number: 19
📚 Para: 16 aur 17
🔠 Aayaat: 98
📎 Sajdah: Ayat 58
📍 Nazool ka Waqt & Jagah: Makki Surah (Makkah mein nazil hui)
🌟 Mansoob Hissa (Major Themes):
📌 1. Hazrat Zakariyya (علیہ السلام) ki dua aur budhape mein, unki baanjh biwi se Hazrat Yahya (علیہ السلام) ki paidaish.
📌 2. Hazrat Maryam (علیہا السلام) ka mu'jizaati taur par Hazrat Isa (علیہ السلام) ko janam dena.
📌 3. Hazrat Ibrahim (علیہ السلام) ka qissa — unki hijrat aur mushrikeen se alag hona.
📌 4. Mukhtalif Ambiya e Kiram ka zikr aur unke qaumon ko dawat dene ka bayan.
📌 5. Kuffar e Makkah ki gumraahiyo par tanqeed.
📌 6. Ahl-e-Imaan ko akhir mein khush khabri aur tasalli.
🕌 Surah ka Mukhtasir Tareekhi Pas Manzar:Brief Background
🔹 Ye Surah Hijrat-e-Habsha se pehle nazil hui.
🔹 Mazloom Muhijireen ke liye ye Surah ek zad-e-raah (سفر کا سامان) thi.
Kyonki Isaayi mulk mein Hazrat Isa (علیہ السلام) ka haqiqi maqam wazeh karna, aur unke Allah ka beta hone ka inkaar karna zaroori tha.
🔹 Zaafar bin Abu Talib ne Najjashi ke darbaar mein is Surah ka ibtidaai hissa tilawat kiya tha.
✨Khaas Paighamat (Key Messages):
✅ Allah har cheez par Qadir hai.
✅ Mo’jize sirf Allah ke hukum se hote hain.
✅ Ikhlaas aur Sabr rakhne walon ko Allah kabhi tanha nahi chhorta.
✅ Qiyamat zaroor aayegi, aur har shakhs ko apne aamaal ka hisaab dena hoga.
✅ Dawat usi zubaan mein honi chahiye, jo samajh bhi aaye aur asar bhi kare.
✅ Sirf Allah ki ibaadat karo, shirk se door raho.
💖 Aakhiri Paighaam:
Allah ke mehboob bande ban jao. Dushman chahe jitni bhi koshish kar lein, Allah tumhari muhabbat logon ke dilon mein daal dega.
📌 Note: Tafseel se samajhne ke liye Surah ka Pas Manzar zaroor padhein.