Quick Qur'an Translation Quiz (Surah Taha)

Instructions:

1. Is quiz mein 10 objective type question hai jo ki 100 marks ke hain.
2. Kisi ki koi madad na lein, apne ilm ki buniyad par jawab dein.
3. Sare sawalon ke jawab select karne ke baad submit karein. 
4. Submit karne ke baad upar ki taraf scroll karke view score par click karke turant apne marks dekein.
5. Wish you all the best, Barak ALLAHu feekum (
بارك الله فيكم).


"Humne is Quran ko nasihat ke liye aasaan zariya bana diya hai, phir kya hai koi nasihat qabool karne wala." [Qur'an 54:17]

Sign in to Google to save your progress. Learn more
Join Us On:

1. Join Quick Quran Quiz Whatsapp Community: Click Here
2. Join Quick Quran Quiz Telegram channel:  Click Here  
3. Visit our Blog: Click Here  
4. Join Islamic Theology Whatsapp Channel: Click Here  
5. Join Islamic Theology Telegram channel: Click Here
6. Join Hira Academy Whatsapp Channel: Click Here
Bina padhe quiz attempt na karein.
Topic: Surah Taha 51 to 60
Quiz no. - 240
Name: *
City: *
 ﷽

🌸 Surah Introduction: Surah Taha (سورة طه) 🌸
📖 Naam: Surah Taha (سورة طه): Is Surah ka naam uske ibtidaai huruf-e-muqatta‘at "طه" se liya gaya hai.
🔢 Surah Number: 20
📚 Para: 16 
🔠 Aayaat: 135
📍 Nazool ka Waqt & Jagah: Makki Surah (Makkah mein nazil hui)

🌟 Mansoob Hissa (Major Themes):
📌 1. Qur’an naseehat aur zikr ke liye hai, mushkil dalne ke liye nahi.
📌 2. Hazrat Musa (علیہ السلام) ki tafseeli kahani – unki nabuwat, Fir‘aun ke saath muqabla, aur Bani Isra’il ki rahnumai.
📌 3. Hazrat Haroon (علیہ السلام) ko Musa (علیہ السلام) ka madadgar banaya jana.
📌 4. Samiri aur Bani Isra’il ka soney ka bachra banakar gumrahi me par jana.
📌 5. Aakhirat ki yaad-dehani aur hisaab ka din.
📌 6. Nabi Muhammad ﷺ ko tasalli ke paighamat, ke Qur’an rahmat aur naseehat ke liye nazil hua hai.

🕌 Surah ka Mukhtasir Tareekhi Pas Manzar:
🔹 Ye Surah un dinon me nazil hui jab Makkah me Islam ki dawat ko shadeed mukhalfat ka samna tha.
🔹 Nabi ﷺ ko tasalli di gayi ke jis tarah Musa (علیہ السلام) ne sabr aur tawakkul se Fir‘aun ka samna kiya, aap bhi Allah par bharosa rakhein.
🔹 Qur’an ko asaan naseehat aur rooh ki rahnumai ke taur par pesh kiya gaya.  

🔹 Isi Surah ki tilawat sun kar Hazrat Umar ibn al-Khattab (رضي الله عنه) ka dil pighal gaya tha aur unhone Islam qabool kiya. (Seerah Ibn Hisham, Musnad Ahmad)

✨ Khaas Paighamat (Key Messages):
✅ Qur’an zindagi ko asaan aur roshan banata hai.
✅ Har mushkil waqt me Allah ki madad zaroor aati hai.
✅ Haq aur baatil ka muqabla hamesha se chalta aaya hai.
✅ Shirk aur gumrahi insaan ko tabah kar deti hai.
✅ Allah ki rehmat un logon ke sath hoti hai jo sabr aur tawakkul karte hain.

💖 Aakhiri Paighaam:
Musibat ke waqt Musa (علیہ السلام) ki dua ko yaad rakho: "Mere Rabb, mera seena khol de, meri mushkil aasan kar de." Allah apne bande ko kabhi tanha nahi chhorta.
Firaon ne Moosa aur Haroon Alaihis Salam se mazeed kya sawal kiya? *
10 points
Moosa Alaihis Salam ne Firaon se guzishta qaumon ke bare me kya btaya? *
10 points
Moosa Alaihis Salam ne Allah rabbul izzat ki tareef kya bayan kiya? *
10 points
Allah rabbul izzat ki ata ki hui nematon me kis ke liye kya hai? *
10 points
Hum kis chiz se paida kiye gye hai aur kis me mil jaenge aur phir uthaye jaenge? *
10 points

Kya Firaon ke samne Allah rabbul izzat ki koi nishaniyan wazeh nhi hui jo wo munkir rha?

*
10 points
Firaon ne Moosa Alaihis Salam ki batein sun kar kya bola? *
10 points
Firaon ne Moosa Alaihis Salam se kis baat ka wada kiya? *
10 points
Moosa Alaihis Salam kya Firaon ki dawat ko qubool kiya? *
10 points
Kya Firaon apne wade ke mutabiq jadoo gari ke muqable ke liye aya? *
10 points
Submit
Clear form
Never submit passwords through Google Forms.
This content is neither created nor endorsed by Google.