Quick Qur'an Translation Quiz (Surah  al-Anbiya)

Instructions:

1. Is quiz mein 10 objective type question hai jo ki 100 marks ke hain.
2. Kisi ki koi madad na lein, apne ilm ki buniyad par jawab dein.
3. Sare sawalon ke jawab select karne ke baad submit karein. 
4. Submit karne ke baad upar ki taraf scroll karke view score par click karke turant apne marks dekein.
5. Wish you all the best, Barak ALLAHu feekum (
بارك الله فيكم).


"Humne is Quran ko nasihat ke liye aasaan zariya bana diya hai, phir kya hai koi nasihat qabool karne wala." [Qur'an 54:17]

Sign in to Google to save your progress. Learn more
Join Us On:

1. Join Quick Quran Quiz Whatsapp Community: Click Here
2. Join Quick Quran Quiz Telegram channel:  Click Here  
3. Visit our Blog: Click Here  
4. Join Islamic Theology Whatsapp Channel: Click Here  
5. Join Islamic Theology Telegram channel: Click Here
6. Join Hira Academy Whatsapp Channel: Click Here
Bina padhe quiz attempt na karein.
Topic: Surah al-Anbiya 21 to 30
Quiz no. - 250
Name: *
City: *
 ﷽

🌸 Surah Introduction: Surah Al-Anbiya (سورة الأنبياء) 🌸


📖 Naam: Surah Al-Anbiya (Paighambaron ki Surah)
🔢 Number: 21
📚 Para: 17
🔠 Aayaat: 112
📍 Nazool: Makki Surah

🌟 Ahm Themes:
📌 Qiyamat ke qareeb hone ki khabar.
📌 Anbiya (عليهم السلام) ki kahaniyan aur unka paighaam – Tawheed aur Ibadat sirf Allah ki.
📌 Duniya ka fana aur aakhirat ka qayam.
📌 Allah ki qudrat aur rahmat ka bayan.
📌 Nabi ﷺ ko tasalli aur sabr ka paigham.

🕌 Pas Manzar:
Makkah ke mushrikeen aakhirat ka inkar karte the.
Allah ne ambiya ke waqiat ke zariye bataya ke har paighambar ne sabr aur dua se mushkilat ka samna kiya.
Nabi ﷺ ko yaad dilaya gaya ke woh Rahmatul-lil-‘Alameen hain.

✨ Paighamat:
✅ Duniya ek maqsad ke sath bani hai.
✅ Dua aur sabr se madad milti hai.
✅ Qiyamat zaroor aayegi.
✅ Allah apne nek bandon ke sath hai.

💖 Aakhiri Paighaam:
“Woh nek kaamon me sabqat lete the aur umeed aur khauf ke saath humein pukarte the.” (21:90)
👉 Har momin ka asal sahara — sabr, dua aur tawakkul.

Kya logo ke banaye huye zameeni khuda aise hain jo bejaan me jaan daal kar zinda karde? *
10 points
Agar ek ALLAH ke siwa dusre khuda hote tab duniya ka nizaam isi tarah balanced  me rehta? *
10 points
Allah rabbul izzat kiske samne jawabdeh hai? *
10 points
Allah ne humare Nabi ﷺ se pehle jo bhi rasool bheje woh kaunsa deen lekar aaye the? *
10 points
Kya Allah rabbul izzat aulad rakhta hai? *
10 points
Kya ALLAH (farishton ki shakal me) aulad rakhta hai? *
10 points
Woh kaunsi makhlooq hai jo bina kuchh bole Rehmaan ke hukm ki pairvi karti hai? *
10 points
Qayamat ke din ALLAH kin bando k liye aur kiski sifarish sunege? *
10 points
Jo yeh keh de ki ALLAH ke siwa mai bhi ek khuda hu , uski kya saza hai? *
10 points

Kya aasman aur zameen apas me mile huye the , aur agar the to inhe alag alag kisne kiya?

*
10 points
Submit
Clear form
Never submit passwords through Google Forms.
This content is neither created nor endorsed by Google.