Quick Qur'an Translation Quiz (Surah al-Isra/Bani Israil)

Instructions:

1. Is quiz mein 10 objective type question hai jo ki 100 marks ke hain.
2. Kisi ki koi madad na lein, apne ilm ki buniyad par jawab dein.
3. Sare sawalon ke jawab select karne ke baad submit karein. 
4. Submit karne ke baad upar ki taraf scroll karke view score par click karke turant apne marks dekein.
5. Wish you all the best, Barak ALLAHu feekum (
بارك الله فيكم).


"Humne is Quran ko nasihat ke liye aasaan zariya bana diya hai, phir kya hai koi nasihat qabool karne wala." [Qur'an 54:17]

Sign in to Google to save your progress. Learn more
Join Us On:

1. Join Quick Quran Quiz Whatsapp Community: Click Here
2. Join Quick Quran Quiz Telegram channel:  Click Here  
3. Visit our Blog: Click Here  
4. Join Islamic Theology Whatsapp Channel: Click Here  
5. Join Islamic Theology Telegram channel: Click Here
6. Join Hira Academy Whatsapp Channel: Click Here
Bina padhe quiz attempt na karein.
Topic: Surah al-Isra/Bani Israil 71 to 80
Quiz no. - 210
Name: *
City: *
 ﷽
Surah  al-Isra/Bani Israil  – Short Details:
  • Israil ka Mana: Yaqoob (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) ki aulad
  • Isra ka Mana: Raat ko le jana
  • Miraaj: Baitul Muqaddas se aasman par jaana
  • Nazool ka maqam: Makki (Makkah mein nazil hui)
  • Qur'an mein tarteeb: 17
  • Ayaat: 111 
  • Para/Juzz:  15
  • Sajda: Ayat 109

Mukhtasir Mazmoon:
  • Ye Surah Miraaj ke waqiye par jo ki hijrat se 1 saal pehle hai, Makka me aakhiri daur me nazil hone wali Surahs me se hai.
  • Bani-Israel ko aagah kiya gaya ki doosri qaumo ke anjaam se sabaq hasil kare.
  • Akhlaaq aur tamddun (social life) ke bade-bade usool bayan hue hai, jise poori insaniyat ke liye zindagi ke nizaam ko qayam  krna Nabi ﷺ ki deen ki dawat ke pesh e nazar tha .
  • Paanch waqt namaz farz ki gayi.
  • Musalmaano ko talqeen ki gayi k sabr aur sukoon se halaat ka muqabla karte rahe aur tabligh aur islah k kaam me apne jazbaat par qabu rakhe.

Khaas paighaam:  
  • Bani -Israel ki saalo ki history ko 4 aayat (4-8) me samet kar Ummat e Muslim ke liye ek aaina (mirror) faraham kiya gaya hai. 
  • Is mirror se hum past, present aur future ka jayza le sakte hain.

Jinka naam e aamaal daaye haath me diya jayga wo shauq se padenge aur zarra barabar bhi zulm nahi hoga ,isme فَتِيۡلًا ka kya mayne hai?    *
10 points

Aur jo shakhs duniya mein andha bana raha , woh aakhirat mein bhi andha , balki raaste se aur zyada bhatka huwa rahega.

Is aayat me duniya me andhe bane rehne se kya murad hai?

*
10 points

( Ae paighambar ! ) Yah log aapko use wahi se jo Humne aap per utaari hai bahkana chahte ki aap iske siwa kuchh aur hi hamare naam se gadh gadha lein tab to aapko ye log apna dost banaa lete. 

Isaayat se Kuffar ki kis baat ka izhaar hota hai?

*
10 points
ALLAH hi nabiyo ko sabit qadam rakhta hai (ye aayate is baat ki bhi daleel hai ki agar Qur'an Nabi ﷺ ki taraf se hota to Nabi ﷺ Kuffar ke musalsal mutalbe par Quran me raddo badal karte) *
10 points

Batil se samjhauta yaani Quran me radd o badal  karne par dohra azaab dunia ka aur dohra hi aakhiri ka dete..isse kya muraad hai?

(Aayat me sakhti ke saath Kuffar ko bhi sunaya gaya)

*
10 points
Quraish Makka Aap ﷺ ko Makka se nikalne ki sazish me kaamyaab ho jatey to_____________. *
10 points

Aesa hi dastoor unka tha jo aapse pahle rasool Humne bheje aur aap hamare dastoor mein kabhi raddo badal na payenge.

Aayat ki wazahat select karein.

*
10 points
Fajr ke Qur'an padhne se kya matlab hai aur iske gawah kaun hain?
*
10 points
Farz namazon ke baad konsi nafil namaz awwal tareen namaz hai? *
10 points

"Aur dua kiya karein ki Ae mere parvardigaar mujhe jahan bhi le ja acchi tarah le ja aur jahan se bhi nikal acchi tarah nikal  aur mere liye apne pass se ghalba aur imdaad muqarrar farma de."

Ye aayat kab aur kyo nazil hui?

*
10 points
Submit
Clear form
Never submit passwords through Google Forms.
This content is neither created nor endorsed by Google.